Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai
Aye watan, Karta nahin kyun doosree kuch baat-cheet Dekhta hun main jise woh chup teri mehfil mein hai Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar Ab teri himmat ka charcha gair ki mehfil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Waqt aanay dey bata denge tujhe aye aasman Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai Kheench kar layee hai sab ko qatl hone ki ummeed Aashiqon ka aaj jumghat koocha-e-qaatil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar Khoon se khelenge holi agar vatan muskhil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se Aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe kafan Jaan hatheli par liye lo barh chale hain ye qadam Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Yuun khadaa maqtal mein qaatil kah rahaa hai baar baar' Kya tamannaa-e-shahaadat bhi kisee ke dil mein hai Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inqilaab Hosh dushman ke udaa denge humein roko na aaj Duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Wo jism bhi kya jism hai jismein na ho khoon-e-junoon Toofaanon se kya lade jo kashti-e-saahil mein hai
You should look at this site to make this site popular so i can make improvements that will be interesting. I have to have people to view this website in order to improve this website.
Make it popular !!!!!
This could be the new meeting place on the internet if only you look and keep looking at this website. Remember i can only make improvements if you contact me. I will try to update this web everyday.
Today, there have been 4 visitors (4 hits) on this page!